Saturday, November 10, 2007
Ajnabbe Shehar
This is written in memory of all cities of Pakistan that have been through the turmoils of the last year epsecially, Karachi and Islamabad.
Picture Courtesy Stockvideo
10/11/2007
Ajnabee Shehar (by Ahmad Babar):
Hai aankhoon main aaj ik ajab si hal chal
Jaisay taaray aa giray hoon zameen par
Lag raha hai mujh ko aaj yeh shehar ajnabee
Par hai kaheen dil mein umeed abhi bhi
Aakhir kiyoon dhekoon yeh sab khoon?
Ho raha hai jo uss ko kiyoon na rokoon?
Kiyoon yeh pabandian hain mujh par?
Kiyoon ho raha hai sitam meray shehar par?
Kaun poonchay ga aansoo in roti maoon kay?
Kaun thamay ga haath besahara bapoon kay?
Aao dheko woh shehar jo kabhi mera tha
Jis mein hur shab kay baad ik sawera tha
Aaj yeh shehar ajnabee ho gaya hai
Ab har waqt andhera hi andhera hai
Hai koi jo tarekioon ko ujaloon main badal daalay?
Hai koi? Kya hai koi jo iss shehar ko bachalay?
Hai aankhoon main aaj ik ajab si hal chal
Jaisay taaray aa giray hoon zameen par
Lag raha hai mujh ko aaj yeh shehar ajnabee
Par hai kaheen dil mein umeed abhi bhi
Shehar mera hai par shehar tera bhi hai
Log meray hain par log teray bhi hain
Hai koi jo aaj meray saath chalay?
Kadam say kadam mila kar chalay?
Kya hai koi jo meray shehar ko ajnabee honay say bachalay?
Kya hai koi jo hum shehar waloon ko bachalay?
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment