Monday, January 21, 2008

Chata Hoon

Started on 28/09/2007, Finished on 21-01-08
Chata Hoon (by Ahmad Babar):
Jis ko paa kar bhi main nay hai kho dia
Jaanay kiyoon lagta hai kay woh kabhi bhi mera na tha
Ab Tu Hi Bata Oh meray Khuda
Ab karoon tau karoon mein kya?
Baharoon say bhi lara tha main kabhi
Aaj bondoon say bhi haar jata hoon
Jaanay kya ho gaya hai mujh ko
Ab nahin raha hota tha main jo
Ab bheerh-o-hajoom main bhi tanha sa reh jaata hoon
Din kay ujalay main bhi andheroon main bhatakta hoon
Is khulay askh talay hai mera makaan
Pholoon say bhara ab main ik ghar chata hoon
Phir aaye kabhi roshni meri zindagi main bhi
Sooraj ki roshni main ab main nahana chata hoon
Koi chahay humain bhi apna samjh kay
Uss chahnay walay ko main chahna chata hoon
Bus aye zindagi bauhat ho gaya
Kuch pal kay liye main bhi jeena chata hoon

No comments: